***************MAA************************
*mother is our - vitality
MOTHER-godess
M - Martyr
O - Odoriferous
T - Thane
H - House Wife
E - Exepect
R - Rectitude
Maa shabd kaano me mishi ghol deta hai.ishe sunte hi kishi suraksha kawach ka ihsash hota hai.isha lagta hai ki ye shabd humare saare dukh dard le lega.
JARA SOCHIYE,Jab ye sabd hi itna pyara hai to maa ki to baat hi nirali hai naa.maa wo jo saare dukh-dard lekar bhi humesha muskarati hai.khud dhuup sahkar bhi hume chaaw deti hai,bhuki rahkar bhi hume bharpet khilati hai,apne armano ka gala ghotkar bhi,pariwar ki har jarurat ko poora karti hai.aapni icchaye markar , pariwar ki har iccha kya khayal rakhti hai.saare dukh sahkar bhi pariwar ko sukh deti hai.thand sahkar bhi pariwar ko apne pyar ki garmhat deti hai.kabhi - kabhi to apni laaj bechkar bhi pariwar ki laaj bachaye rakhti hai.
PHIR BHI KYU ANTH ME WAH AKELI HI RAH JAATI HAI?????
SO DEAR ,
Maa jo humari janam daata hai, jiske wajud se humara wajud hai. jiske kaaran hi aaj hum summaan ka jivan ji rahe hai .jarurat hai aaj ushe bhi summaan dene ki.kyuki aaj ki peeedhi ushe wo summaan nahi de rahi jo ushe milna caahye tha. jispar ushka poora hak hai.aaj ki peedhi MOTHER-DAY to yaad rakhti hai par mother-day ke siwa ushe koi day yaad nahi rahta.YE BHI yaad nahi rahta hai jish janamdata ne hume apna har din ,har ghanta,har minute, har second diya hai uske liye kewal ek din????????????????
Ushne apna poora jivan hume de diya phir bhi hum sikayat karte rahte hai ki ye nahi kiya wo nahi kiya to kya ek din me hum wo sab kar payenge jo hume waakai uske liye karna chaahiye?
AUR KITNE ESHE LOG HAI JO WAKAYI MOTHER'S-DAY ME MAA KA POORA KHAYAL RAKHTE HAI?
KYA kewal ek card de dene se ya maa ko kuch gift de dene se hi humari duity khatam ho jaati hai?hum samajte hai haa.PAR agar maa humare saath bhi isha hi kare to hume kaisha lagega?
AAJ bhi kai eshe ghar mil jayenge jahan maa kishi acche post par hai,wo koshish to bahut karti hai ghar ki jimmedariyo ko poora karne mai,par office ki bhi itni jimmedari hai ki wo bechari bhi kya kare?wo itmi kadi mahnat kar rahi hi , kya apne liye?
NAHI NA ,sirf apne parivar ke liye. uspar agar ghar me kuch ho jaye ,ya bacche bigad jaye to poora dosh uspar hi lagta hai.har koi kewal or kewal "maa" par hi ungli uthate hai,ki kaishi maa hai jo apne baccho kya khayal nahi rakh sakti,ya apne ghar ka khyal nahi rakh sakti.or ush par bacche wa parivar ke log bhi maa ko hi dosh dete hai.
ME PUCHTI HU KYU? kyu, maa ko hi dosh diya jaata hai. kya pita ya ghar ke or logo ki koi jimmedari nahi hoti ghat ke prati??????????????Maa chaye kitna bhi thaki kyu na ho ghar aakar ushe hi khana banana hota hai ,ushe hi kapre dhone padte hai.
SUNDAY KE DIN TO USKI HAALAT KISI NAUKRANI SE KAM NAHI LAGTI.
Ek kaam ,phir dushra,phir tishra or ishi tarha uska saara din kab kaam me nikal jaata hai ushe pata hi nahi chalta.SUNDAY hota hai aaram ke liye par "maa" ke liye to wo din aaram -haram ka din hota hai.or phir bhi hum kahte hai ushne kiya hi kya?jab maa office se thak kar bhi ghar ke kaam kar sakti hai to ghar ke baaki log kyu nahi????????????
Kya wo inshan nahi hai,ya phir hum ushe machine samajhte hai?ki wo kuch bhi kar le thakegi nahi.
DEAR ,eisha nahi hi wo bhi to humari hi tarha ek insaan hai ,ushe bhi thakan lagti hai,ushe bhi aaram ki jarurat hai,ushe bhi pyar ki jararut hai.
BILKUL HUMARI HI TARHA.Ek din tum bhi maa ki tarha kam karke dekho tab pata chalega tumhe."MAA" chahe office me ya phir ghar me rahe wo apni zimmedari acchi tarhase samajhti hai,or ushe poora har kimat par karti hai.ushki poori zindagi ishi koshish me hi to beet jati hai ushka poora parivar khush rahe,unki saari jarurate poori ho.
SO DEAR LOVE YOUR "MAA" BY HEART
1.)maa ki har baat suno,ho sakta hai ushme tumhara hi faiyada ho.tum chahe kitne bhi bade ho jao,unke liye to choote hi rahoge.
2.)apni problem kaa hal yaha-waha dhundne ki bajay maa se pucho.
3.)apne sabhi friends ko maa se introduse karao.
4.)maa se apne dress ke baare me pucho ki tumpar kya accha lagega or kya nahi,kiyunki kabhi kabhi friends majak me aapse eishi dress kharidwa dete hai ki log aapka majak bhi bana sakte hai or friend bhi aapke paache aapka majak udate hai.
5.)agar tumhe koi accha lage to maa ko turant bata do,ish baat ko unse mat chupao,kiyonki bahar wale batayenge to unhe bura lagega or dushre log unhe galat bhi bata sakte hai .
6.)agar koi problem hai to maa ko batao ,taaki wo ushe solve kar sake or aapko unse darne ki jararut bhi na pade.
7.)doshto ki ulti-sidhi salha lene ki bajay maa se pucho ,wo tumhe kabhi galat salha nahi dengi.
SO DIL KHOLKAR POORA JOR LAGAKAR BOLO-----------
I LOVE U MAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAA
I LOVE U SO SO N SO MUCHHHHHHHHHHHHHTAAKI ,
maa ko ye naa kahna pade ki ,intajar ek saam ka nahi ,umar tamam ka hai,milta nahi chor bhilagta hai intajar hai abhi aur bhi.
written by - kamla bhandari
Tuesday, March 11, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
1 comment:
If ur successful in ur life. then, 75% of this credit goes to ur mother & the remaining 25% to ur father.
that's y, people even say that, heaven lies benith mother's feet.
& don't think that these r cmg out of sandeep's mind but these lines are clearly written & u can find them in "HOLY QURAN".
March 10, 2008 10:45 PM
Post a Comment