Tuesday, March 18, 2008

कैषा ये प्यार है


कैषा ये प्यार है


prem jaisha apna lagne wala ,pivtra bhawana ka shabd pashimi upbhogtawad ke asar me hinsak or krur hoti ja rahe hai.
ME TUMSE PYAR KARTA HU,jaisha waky kabhi bahut hi niji hua karta tha.jishe kahne me pahle warso lag jate the pur aaj esha nahi hai.aaj ki nai pedhi "LOVE" ko FAST FOOD ki tarha cahti hai-(INSTANT)

yadi ladki "I LOVE U " na bole to goli mar do.ya prem karne se mana kare to ladki ka cahra tejab se jhulsa do,ushse bhi ji na bhare to ushe maro peto,uske parivar ki bejati karo uska jena haram kar do.ya phir ushe itna majboor kar do ki wo atmhatya karne pur majboor ho jaye.ab to ladkiya bhi ghar se bahar nikalne pur darne lagi hai agar wo na bhi dare to ghar wale dar kar unhe ghar se bahar nahi jane dena cahte ki pata nahi kab na jane kaun jala-bhuna aatmglin premi uske cahre par tejab fenk de.ya chako se uspar war kar de,ya uska aprahan kar le.

Maje ki baat to ye hai ki eshi ghatnao ko anjam bhi wahi dete hai jo succha prem karne ka dawa karte hai.we un ladkiyo ke koi dushman nahi hote.unka dawa hota hai ki we hi uske subh-chintak hai.yaniek taraf to prem karne ka dumb or dushri taraf agar prem me safalta na mile to ush ladki ko khatam karne ka fashla kar liya.Gaau me to agar ladki prem kare to ushe jaan se hath dhona padta hai.khud parivar wale hi buri tarike se ish krurta ko anjam dete hai.waha prem vivhaw karne wale pati-patni ko bahi-bahan bana dete hai.samaj ka esha cehra ghar-duftar se lekar sadak tak par najar aa raha hai.passchaat sanskrati se aakarsit ho chuke logo ne samaj ko lekar apni ek alag dharna bana li hai.ki samaj unke hisab se chale.

ESHA KYU HP RAHA HAI?sayad isliye ki aaj hum unch-neech,sahi-galat sub bhul chuke hai.laila-majno,romio-julit,shri-farhad ki kahaniya ya to kitabo me hi rah gai hai ya filmo tak simit ho gai hai.Ek saath jeene -marne ki kasme ab jhuti hoti hai ,kewal apni or akarsit karne ke liye.aaj to prem me wifal ho jane pur premika ko hi mita diya jata hai ya mitane ki kosish ki jati hai.Duniya jitni khul rahi hai ,prem utna hi chota hota ja raha hia.aakhir kon sa samaj bana rahe hai hum "AAJ".

Aaj ka prem sirf dikhawa matra rah gaya hai.ye ya to phone par,SMS par ya computer paur hi simat gaya hai jaha hum kasme -wade to khub karte hai,ek dushre ko sumajhne ka dawa karte hai.Ek dushre se bahut door rahte hai pur pyar ho jata hai.ARE bahi computer ,phone pur.or samne aane pur agar accha na lage to ,prem ka arth to door prem kuch hota bhi hai yahi bhool jate hai.Subse jayde jo sochne ki baat hi wo ye ki jo roj humare samne hota hai ushse to hume pyar ho nahi pata,jabhi hum ushi acchai-burai ko acchi tarha se jante hai.to sochne wali baat hai ki jish insan ko dekha nahi hai kaishe ushse prem kar sakte hai,kaishe ushpar vishwash kar sakte hai.

SUCHMUCH AAJ SUBKUCH AADHUNIK HO GAYA HAI------------------- PYAR BHI.



written by : kamla bhandari