Wednesday, March 12, 2008
RISTO KI AHMIYAT
RISTO KI AHMIYAT
1)Kisi bhi relation ko todna bahut aashan hai par banaye rakhna bahut hi muskil.
2)Relation ko todne se jayda jode rakhne ki koshish karni chahiye.
3)Har rishta ek kucche dhage ki tarha hota hai,ab ye aap par nirvar karta hai ki kis tarha se aap ush kacche dhage ko jodkar rakhte hai.
4)Rishto ki ahmiyat sumajhne waale hi rishto ko jodkar,unhe sametkar rakh sakte hai.
OR
5)Rishto ko sametkar rakhne wale humesha khush rahte hai.Agar koi musibat aaye bhi to sub aapas me milkar ush mushibat ka samna karte hai or dukh ko bant lete hai.Jubki akela insaam ya samaaj se doori banaye rakhne wale ko musibato se bahar nikalne me bahut pareshani jhelni padti hai.Wah humesha khush nahi rah pata,kiyonki khushi saath se milti hai na ki akele rahne se.
WASHE BHI,
chaahe insaam ke pass duniya ke saare esho-aram ho par agar wah akela hai to sub bekar hai.
UN majduro ko hi le ligiye jinke pass kuch bhi nahi hota,jo log sadko ke kinare rahte hai ,gandi naaliyo ke pass rahte hai,khaane ko roti nahi hai,pahanne ko kapra nahi hai ,ghar me koi saaman nahi hai.Phir bhi kabhi -kabar unke chare par khushi dekhne ko mil hi jaati hai,we huste hue dikhai pad hi jaate hai .
PAR,
UN amiro ke cahre par aapko kabhi bhi hansi nahi dikhai deti jinke pass parivaar nahi hai,unhe sanaj nahi aata ki kamaye to kiske liye kamaye,kharch kare to kish par kare.Dushro par to koi bhi kuch karch nahi karna cahta ,so ishi ghutan me unki puri jindagi jugar jaati hai.or rah jata hai to sirf dikhawa.such hai yah.
DEAR FRIENDS,
ye mat socho ki ye dushre hai ,socho ki ye bhi humari hi tarha ek inshaan hai.Agar bhagwan ne hume diya hai to ye humari khush kismati hai.Or ushse bhi badi khush-kismati tab hogi jab humari cheej kisi dusre ke kaam bhi aa sake. apni cheejo ko to sab use karte hai par jo dusro ko de bina kishi dikhawe ke, wahi to data hai or wahi rishto ki sahi ahmiyat ko samajta hai.kiyonki sabse bada rishta to insaniyat ka hai.
HAI NA ..................................
written by : kamla bhandari
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment