Wednesday, March 12, 2008



DUNIYA KA KADWA SUCH

duniya wah sthaan hai
jaha na koi jinda hai ,
na murda hai,
sabki aankhe hai khuli phir bhi
aankho par pada hua parda hai.
duniya wah dukaan hai
jaha bikta imman hai,
majhab ke naam kathta
har roj koi insaan hai.
duniya wah saam hai
jaha aane se raat ke
saaye bhi durte hai,
par yahi par roj jaane
kitne hi marte hai.
duniya wah juth hai
jaha log kahte hai,
mera baharat mahaan
lekin koi ye nahi janta ki
yahi par 100 me se 99 beimaan.
duniya wah kabristaan hai
jaha dikhta sirf samshaan hai,
aaj dekho jo inshaan hai
kal dekho wahi haiwaan hai.

No comments: