Tuesday, March 11, 2008

ASHONTOSH

ASHONTOSH


bachpan me ja bacche the
to jawani ka khayal aata
jab jawani me jawan the
to sochte bhudapa kya hai
aaj guzar rahe hai bhudape ke din
aur soch rahe hai-
wo bachpan kitna accha tha
wo pyare pyare din
wo bholi mashum baate
aur un sabke beech
wo pyara saccha bachpan-
wo jawani kitni anmol thi
har pal masti ka
panchiyo si aajadi
dil me bhara tha josh
kitni khushnuma the jawani
kuch kar gujarne ki cha thi-
bhudapa to niras hai
bemaja paradhin bebash such hai
insaan khush nahi rah paata vartman se
sochta hi rahta hai
ye hota to accha hota
wo hota to accha hota.

No comments: