Tuesday, March 11, 2008

AAPNA GHAR

******** AAPNA GHAR *********
-----------------------------


BACHPAN ME JAB BACCHI THI
GUDDE ,GUDIYO SE KHELA KARTI THI
KHEL CHODO KUCH KAAM KARO
KAL APNE GHAR JAANA HAI
BAS HAMESHA SAB KAHA YAHI KARTE THE,
PHIR JAB THODI BADI HUI
PADHNE KI TAB BAARI AAI,
PADHO MAGAR SAB KAAM KARO
KAL APNE GHAR JANA HAI
PHIR WAHI RAT SABNE DOHRAI THI,
BACHPAN CHUTA KAAN KIYA,
PADHA MAGARKAAM SUBHA SAAM KIYA.
JAB KISHORE AWASTHA AAI
SABNE BYAHA KI RAT LAGAI
AB APNE GHAR JANA HAI
THODA NAHI SAARA DHAYAN DAHARO
MENE BHI EK SAPNA BUN LIYA
MERA BHI EK ''GHAR'' HOGA,
SABSE SE YE SUN LIYA
SAPNO ME RANG SAARE BHAR DIYE
JINDAGI KE KUCH NAYE,
RANG MENE BHI CHUN LIYE
PHIR BYAHA HUA,
USH GHAR KO CHOD
ISH GHAR AA GAI
EK SANTHUSTI SI MAN ME LAHRAI
KHUB NIHARA,KHUB SARAHA
SOCHA CHALO APNA GHAR MIL GAYA
SAPNO KE UN RANGO KO
JEEVAN ME JAB BAHRNA CAHA,
SAB CHEEK UTHE ,SAB BOL UTHEARE !
YE KYA KAR DALA.
APNE GHAR ME KYA YAHI SEEKHKAR AAI HO
DUSHRE KE GHAR KAISHE RAHNA HAI,
KYA ABHI TAK,YAH SANAJ NAHI PAAI HO
MAATHA THANAK UTHASAR CHAKRANE LAGA
KUCH HI PALO ME MANO
DUM SA NIKALNE LAGA
" APNA GHAR"KOHN SAA " APNA GHAR"
USH GHAR WALE KAHTE
YE HAI MERA "APNA GHAR".
AUR ISH GHAR WALE KAHTE ,
WO HAI TERA "APNA GHAR"
NA WO GHAR MERA
NA YE MERA HAI
AAKHIR KAHA HAIMERA"APNA GHAR"?


WRITTEN BY : KAMLA BHANDARI

No comments: