Saturday, March 15, 2008

MAI HU NA...(tumhara neta)


MAI HU NA..........(tumhara neta)


Neta shabd sunte hi tagat ka ehsas hota hai.Yah shabd hi bata deta hai kitni tagat hai isme.Or neta shabd se humari na jane kitni hi umide jud jati hai.Bada wajandar hai ye shabd.Parantu aaj yah humari sari umide bhujata ja raha hai.Rah gai hai to bas iski tagat or iska wajan.
Aaj ke neta wah neta nahi rahe jinki hum pahle ke netao ki tarha pooja kar sake.Pahle ke neta agar wayda karte the to apni jaan dekar bhi ushe poora karte the.Par aaj ka neta to jaan lete hai, kewal apni netagiri dikhata hai, apni tagat dikhata hai or ha apni sampatti bhi dikhata hai.

WAISHE,
Aaj ek neta hi to asha hi jo har kam badi ashani se karwa deta hai par koi bhi kam karta badi muskil se hai.To kya hua karwate to hai na.kahi nawkri lagwani ho,transfer karwana ho,admission lena ho,dear kuch bhi - kuch bhijo koi na kar sakta ho, koi na karwa sakta ho wo neta kar bhi dete hai or karwa bhi dete hai.

NETA TABHI TO HAR BHASAN ME KAHTE HAI...........ME HU NAAAAAAAAAAAAAAAA.

Kya hua jo agar wo iske badle kuch mangta hai to wo uska hak hai.Aapka kaam bhi to usne karwaya hai na.Agar netaji ke khandan ki baat ho to ya to neta ke khandan me jaydatar neta hote hai ya phir kisi bade pad par hote hai ,YA phir kisi ashi jagha hote hai jaha khub maal ho..,khub fayda ho.Aaj ka neta bade -bade wayde to khub karta hai par kewal VOTE milne tak or VOTE ke baad sub bhul jata hai.Aaj to VOTE bhi tagat or pesho ke bal par cheene ja rahe hai.Kahi gawo me VOTE ke samay sharab banti jaa rahi hai to kahi mithaiya banti ja rahi hai or dawate ho rahi hai .VOTE ke din ghar-ghar rikshe,bus,care bheji ja rahi hai.Bhar-bharkar jabardasti VOTERO ko le jaya jata hai or unse VOTE dalwaye jate hai.Tagat ka istemal to netaji bakhubi kar rahe hai par kewal or kewal apne liye.Washe aaj ke neta hai bade hi samajdar.
We "EK PANTH DO KAAJ " ka formula jo apna rahe hai. Badi-badi yojnaye nikalte hai karoro,arbo ki ,Vikash ke liye bahi,phir unhi yojnawo or vikash karyo ka lalach dekar janata se VOTE lete hai or janata samajti hai ki karoro,arbo me se kuch to unhe bhi mil hi jayega.OR wo bhi khusi -khusi VOTE de dete hai apne pyare neta ko..Netagi to samajdar hai hi , wo un vikash yojnawo ko poora bhi karte hai.
APNE LIYE BAHI!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!
To kya huwa jo unhone apne liye kiya par wayda to poora kiya na.Kya hua jo janata ka vikash na ho saka par kisi ka to hua na.
WAH KYA NETA HAI RE!!!!
jo kaha wo kiya.Me janti hu ki janata sub janti hai,AAP sub jante hai.Me to bus yahi puchna cahti hu ki saari succhai jante hue bhi aap kyu ashe ghatiya,beiman,bhrastachari neta ko VOTE dete hai ,or agar VOTE dete hai to phir kyu uthate hai SARKAR ya kisi neta par ungli.

HAI KOI JAWAB AAPKE PASS?

HAI KOI JAWAB?????????????????


written by : kamla bhandari

No comments: